“MAI KYA KAR RAHA HUN”
Isse Aap Baar-Baar Yaad Karte Rahiye,
Ek Second Ke Liye Yaad Kijiye Ke
“MAI KYA KAR RAHA HUN”
“MAI KYA KAR RAHA HUN”
Aisa Agar Aap (Baar-Baar Ek Second Ke Liye Din Me Hazaar Baar) Yaad Karte Rahenge To Aapko Ye Aadath Padjaayegi, Hamesha Apne Khayaalon Par Khayaal Rakhne Ki.
Jaise Koi Bhi Ek Cheez Ko Agar Aap Baar-Baar Yaad Karte Rahenge To Wo Aapko Hamesha Yaad Reh Jaayegaa.
Ussi Tarah Aapko Ye Bhi Yaad Reh Jaayega Ke Aapka Khayaal Kahan Jaa Raha Hai,
Aur Uss Waqt Aapko Pehle Hi Pata Chal Jaayegaa Ki Ye Buraa Khayaal Hai, Bekar Khayaal Hai. Pehle Hi Aap Usse Rok Sakten Hain,
Aur Uske Baad Kabhi Kabhi Aap Hi Ka Khayaal Aapko Darrayega Ke Koi Hame Maarne Aaraha Hai, Ya Kisiko Paise Humko Dena Hoga Warna Wo Hame Bhala Bura Kahegaa, Ya Kiski Ko Koi Darr Satayegaa, Ya Dukh Dega, Maayoos Karegaa, To Uss Waqt Aapko Uss Khayaal Ko Kehna Hoga.
“ JO HOTA HAI HONE DO”
ALLAH YA BHAGWAAN KI MARZI, “JO HOTA HAI HONE DO”
Jab Aap Aapke Daraane Waale Khayaal Se Nahi Darenge To Wo Darana Band Kar Dega. To, Wo Aapko Daraane Wala
Sirf Khayaal Hai, Jo Baar-Baar Daraata Raha, Wo Kitne Baar Aayega,
Agar Aap Aisa Kehte Rahenge To Wo Khayaal 5 Se 10 Baar Aakar Khatam Hojayegaa, Aur Aapko Himmath Aajayegi Aur Kamyaab Ho Jaayenge.
To Sirf Aapko In Donon Cheezon Ko Yaad Rakhna Hoga.
“MAI KYA KAR RAHA HUN”?
(BAAR-BAAR, HAZAAR BAAR EK SECOND KE LIYE YAAD KARNA HOGA HAR DIN)
AUR
JAB BHI YE KHAYAAL AATA HAI, US WAQT USKO KEHNA HOGA
“JO HOTA HAI HONE DO”
(INSAAN KHUD KO PEHCHAAN NE KI HAZAARON SAAL SE KOSHISH KAR RAHA HAI)
FOUNDED BY: SAMIULLA KHAN.M.